Basic Urdu MCQS for PPSC CSS PMS
1. Dakkan me urdu ka nazarya kis ne paish kiya?
Naseer Ud din Hashmi
2. Urdu me adverb ko kya kehtay hain?
Mutliq fael
3. "Liye" ki durust imla konsi hai?
jis k neechay 2 nuqtay hon aur ooper hamza na ho.
4. Urdu me pehli taba zaad dastaan konsi hai?
Fasana e ajaa'ib
5. Fort William college kay pehlay principal kon thay?
David Brown
6. "Masnavi Zehar Ishq" kis ki tasneef hai?
Mirza shauq
7. "Masjid Qartaba" Allama Iqbal kay kis majmooay me shamil hai?
Baal e jibriel
8. "Khutbat-e-Iqbal" ka sab se pehla tarjuma kis ne kiya?
Nazeer Niazi
9. "Kulyaat-e-Meer" ka pehla edition kis ne shaya kiya?
Fort William College
10. "Is nazm me" kis ki ki kitab hai?
Meera Ji
11. "Hasan Kooza Gar" kis ki nazm hai?
Noon-Meem-Rashid
12. "Takhleeqi Amal" ka musannif kon hai?
Wazeer Aagha
13. "Nimrat-ul-Kamal" kis ki tasneef hai?
Amir Khusru
14. "Musafir in London" kis ka safar nama hai?
Sir Syed
15. "Hujjat-ul-Islam ka kirdar Nazeer Ahmed ne kis novel me paish kiya hai?
Ibn ul Waqt
16. "Maa'khaz" kis ka shairi majmooa hai?
Iftikhar Jalib
17. "Kulyaat-e-Yagana ka murattib kon hai?
Mushaffaq Khawaja
18. "Teesray darjay ka musafir" kis ka tanqeedi majmooa hai?
Waris Alvi
19. "Gard-e-Rah kis ki khud nawisht hai?
Akhter Hussain Raye Poori
20. "Tanqeed ki azadi" kis ka tanqeedi majmooa hai?